Monday, October 29, 2012

Dhalti Eid Ke Saath


Dhalti Eid Ke Sath Hee Khataen Maaf Kar Dena
Kia Pata Jab Phir Eid Aaye To Hum Na Hon...!

Alvida Eid

Filed in Eid Poetry

Friday, October 26, 2012

Hum Juda Kis Se Howe


Din Ko Masmaar Howe, Raat Ko Taamir Howe
Khwaab Hi Khwaab Faqat, Rooh Ki Jaagir Howe


Umr Bhar Likhtey Rahe, Phir Bhi Warq Saada Raha
Jaane Kia Lafz The, Jo Hum Se Na Tehreer Howe


Yeh Alag Dukh Hai Ke, Han Tere Dukhon Se Azad
Yeh Alag Qaid Hai Hum, Kiun Na Zanjeer Howe


Deeda o Dil Mei Tere, Aks Ki Tashkeel Se Hum
Dhool Se Phool Howe, Rang Se Tasvir Howe


Kuch Nahi Yaad Guzishta Shab Ki Mehfil Mei Faraz
Hum Juda Kis Se Howe, Kis Se Baghal Gir Howe


More in sad poetry sms

Saturday, October 20, 2012

Jo Dost Nazar Aatey Han!


Wo Tark e Talluq Ka Ishara Bhi Nahin Kartey
Par Baat Bhi Hum Se Karna Gawara Nahin Kartey

Hum Jin Ko Basa Letey Han Ik Bar Nazar Mei
Phir Un Ko Kabhi Dil Se Utara Nahin Kartey

Apney Liye Bus Ik Yarana Hi Bohot Hai
Hum Koi Bhi Ghalti Dubara Nahin Kartey

Jo Dost Nazar Aate Han, Baatin Me Han Dushman
Hum Jaante Han Phir Bhi Kinara Nahin Kartey

Jab Tak Wo Salamat Han, Adawat Ka Maza Hai
Dushman Ko Kabhee Jan Sey Maara Nahin Kartey...


Posted in poetry sms

Aankhon Me Neend Hy!


Raat Chup Hai Magar Khamosh Nahin
Kese Kahun K Aaj Phir Hosh Nahin

Aese Doobe Han Kisi Ki Yaad Ki
Gehraai
Mei

Aankhon Me Neend Hy Magar Sone Ka
Hosh Nahin

Good Night!

Posted in sad poetry

Thursday, October 18, 2012

Sunday, October 14, 2012

Friday, October 12, 2012