Saturday, April 19, 2014

Kuch Zikar Karo Us Mosam Ka Jab Rim Jhim Raat Raseeli Thi!

kuch zikar karo us mosam ka jab ram jham rat raseeli thi
jab subha ka roop rupehla tha jab sham boht sharmeeli thi
jab phool mehekti rahon per qadmon se gajar baj uthte they
jab tan me sans ke sargam ki her deepak taan sureeli thi
jab khawab sarab jazeeron me khush fehem nazar ghul jati thi
jab piyar pawan ke jhonkon se har yad ki moj nasheeli thi
amrat ki mehek thi baton me nafrat ke sharar thay palkon per
wo hont nehayet meethay they wo aankh boht zehreeli thi
mohsin us sheher me marne ko ab is ke siwa kuch yad nahin
kuch zeher tha sheher ke pani me kuch khak ki rangat neeli thi

More in Mohsin Naqvi


Friday, December 20, 2013

Thehri Thehri Si Tabiat Mei Rawaani Aai!

Thehri Thehri Si Tabiat Mei Rawaani Aai,
Aaj Phir Yaad Mohabbat Ki Kahani Aai!

Aaj Phir Neend Ko Aankhon Se Bichharte Dekha,
Aaj Phir Yaad Koi Chot Puraani Aai!

Muddaton Baad Chala Un Pe Hamara Jaadu,
Muddaton Baad Humain Baat Banani Aai!

Muddaton Baad Pashemaan Huwa Darya Hum Par,
Muddaton Baad Humain Pyaas Chupaani Aai!

Muddaton Baad Khuli Wusat e Sehra Hum Par,
Muddaton Baad Humain Khaak Uraani Aai!

Itni Asaani Se Milti Nahin Fun Ki Doulat,
Dhal Gai Umr To Ghazalon Pe Jawani Aai!


Sunday, December 15, 2013

Is Dor e Bejunoon Ki Kahani Koi Likho!!

Is dor bejunoon ki kahani koi likho
Jismon ko baraf'khon ko pani koi likho

Koi kaho ke hath qalam kis tarha huey
Kiun ruk gai qalam ki rawani koi likho

Kiun ahl e shoq sar ba gireban hen dosto
Kiun khun ba dil he ahd e jawani koi likho

Kiun surma dar gulu he her ik taair e sukhan
Kiun gulistan qafas ka he sani koi likho

Han taza sanihon ka karey kon intazar
Han dil ki wardat purani koi likho

Read another poetry:
http://softsonnets.blogspot.com/2013/10/jesay-teri-dunya-se-mujhay-kabhi-jana.html





Sunday, November 24, 2013

Her Tamashai Faqt Sahil Se Manzar Dekhta

Her tamashai faqt sahil se manzar dekhta
Kon darya ko ulat ta kon gohar dekhta

Wo to dunya ko meri diwangi khush agai
Tere hathon me wagarna pehla patthar dekhta

Aankh me aansu jurey they per sada tujh ko na di
Is tawaqu per ke shayed to plat kar dekhta

Meri qismat ki lakeeren mere hathon me na thin
Tere mathey per koi mera muqaddar dekhta

Zindagi pheli hui thi sham e hijran ki tarha
Kis ko itna hosla tha kon ji kar dekhta

Doobne wala tha or sahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta

Tu bhi dil ko ak lahu ki boond samjha he Faraz
Aankh agar hoti to qatrey me samandar dekhta



Wednesday, November 20, 2013

Mat Socho!

Aur us ne
Mere saghar me
Mae surkh undeli  to kaha
                    mat socho!

Tum yahan aye ho
Is mulk ke
Is sheher ke
Is hajla e taskeen me jahan
Sab ke sab raqsan kunan
Naghma e balb
Mast ada
mat socho!
Jagti rat
Ke chehre pe he khushbu ki rida
                     mat socho!


Tum bhi kia log ho
Perdais bhi aatey ho
To le aatey ho
Beemar shab o roz o dil e figar
Azizan e watan ki yaden

Apni zholida o bosida qamizon ki tarha
Jin ke dhabbon ko
Khud kar machinen bhi nahin dho saktin

Ye jo zangar hen ghurbat ke
Khud azar jo tarikiyan zehnon ki hen
Aalaishen jismon ki hen
Is tarha sanbhale huey phirtey ho
Ke jese ye tmhare dil o jaan hon
Is ghari tum ho jahan
Mumlikat khawab nahin
Yaan kisi soch ka gurdab nahin
Zindagi mae ki tarha
Shokh he tarrar he zehrab nahin

Apne kashkol ko dehleez per rakh ao
ke dre waza gari
Is jaga shamil e adaab nahin
Mat socho!

Sunday, September 29, 2013

Hawaaen Sard Ho Jaaen ' Ya Lehjay Barf Ho Jaaen

Hawaaen Sard Ho Jaaen
Ya Lehjay Barf Ho Jaaen,

Hum Us Ki Yad Ki Chadar Ko
Khud Pe Taan Letay Hain

Suno Darvaish Logon Ki

Tuesday, September 24, 2013

Chaho To Theher Jana ' Chaho To Guzar Jana

Avaaragi Mei Hum Ney Isko Bhee Hunar Jaana
Iqraar e Wafa Karna Phir Us Sey Mukar Jaana

Jab Khwaab Nahi Koi, Kya Zindagi Kar Karna Hay
Hr Subah Ko Jee Utthna ' Hr Raat Ko Marr Jana

Shab Bhar Ke Thikaane Ko ' Ik Chhat Ke Sivaa Kya Hay
Kya Waqt Pe Ghar Jana ' Kya Dair Se Ghar Jana

Aesa Na Ho Darya Mey Tum Baar e Giraan Thehro
Jb Logg Ziyada Hon Kashti Se Utar Jana

Suqraat Ke Peene Se Kya Mujh Pe Ayaan Hota
Khud Zeher Piya Mai Ne Tab Uska Asar Jana

Jb Bhi Nazar Aao Gay ' Hum Tum Ko Pukarain Gay
Chaho To Theher Jana ' Chaho To Guzar Jana


You may like:
Urdu Poetry on Khamoshi


Sunday, August 25, 2013

Baat Niklay Gi Tou Phir Dour Talak Jaaye Gi!

Baat Niklay Gi Tou Phir Dour Talak Jaaye Gi
Logg Bewaja Udaasi Ka Sabab Poochen Gay
Yeh Bhee Poochen Gay K Tum Itnay Pareshan Kiu Ho
Ungliyan Uttain Gi Sookhay Howe Baalon Ki Taraf
Ek Nazar Dekhain Gay Guzray Howe Saalon Ki Taraf
Choorion Pe Bhee Kayi Tanzz Kiye Jaayen Gay
Kaanptay Haathon Pay Bhee Fikray Kasay Jaayen Gay
Logg Zaalim Hen Har Ik Baat Pay Taana Dain Gay
Baaton Baaton May Mera Zikr Bhee Ley Aayen Gay
Unki Baaton Ka Zara Saa Bhee Assr Mat Layna
Warna Chehray Kay Taassur Say Samajh Jaayen Gay
Chaahy Kuch Bhee Ho Sawaalat Na Karna Unn Say
Merey Baaray Me Koi Baat Na Karna Unn Say
Kiun Kay...,
Baat Niklay Gi Tou....!

Saturday, July 27, 2013

Hawa Thami Thie Zaroor Lekin

hawaa thami thie zaroor lekin
Wo sham jese sisak rahi thy

k zard patt'on  ko aandhion ne
ajeeb qissa suna diya tha

k jisko sun kar tamam patt'ay
sisak rahe thy bilak rahe thy

jaanay kis saanihay k gham mai
shajar jaron se ukhar chukay  thy

bohut talasha tha hum ne tmko
har aik rasta, har aik waadi
har aik parbat, har aik ghaati

kaheen se teri khabar na aai thie
to keh k hum ne dil ko taala

hawaa thamay gi to dekh laingy
hum uske raston ko dhoond laingy

magar hmari ye khush khyali
jo humko barbad kr gai thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

hmaray baalon k janglon main
safaid chandni uttar chuki thie

falak pe taaray nahi rahay thy
ghulab pyaray nahi rahay thy

wo jin se basti thie dil ki basti
wo log saare ni rahay thie

ye almiya sb se baala tar tha
k hum tmhaare nahi rahey thie
k hum tmhaare nahi rahay thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

Read:
Poetry Ghazal on Khulus e Dil Se Aari Han Yahan Insan Bohot


Monday, July 22, 2013

Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Tujhey Kiya Khabar Merey Haal Ki..!
Merey Dar..! Merey Malaal Ki..!

Yey Merey Khayaal Ka Silsilaah..!
Kisi Yaad Sey Hai Milaa Howa..!

Usey Dekhnaa..! Usey Sochnaa..!
Meri Zindagi Ka Hai Faysala..!

Yey Ussi Ki Palkoon Key Saayey Hen..!
Meri Rooh Mey Jo Utarr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Mujhey Iss Maqaam Pey Choorna..!
Hai Yey Bewafaai Ki Intehaa..!

Yey Qafass Ho Jesey Khuli Fizaa..!
Yaheen Sukhh Ka Saans Mai Loon Sadaa..!

Jinhen Teri Deed Ki Piyaas Thi..!
Woh Katoray Nainoon Sey Bharr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!


Read Another Urdu Ghazal
Bicharnay Wale Ka Ab Tak


Monday, June 24, 2013

Suno!! Tum Nay Kabhee Sahil Pay Bikhri Rait Daikhi Hay!! - Samandar Saath Baitha Hy!





















Suno..!
Tum Nay Kabhee
Sahil Pay Bikhrree
Rait Dekhee Hy??

Samandar Saath Baitha Hy
Magar Os Kay Muqadar May
Hamaisha Pyaas Rahti Hy!!


Suno..!
Tum Nay Kabhee
Sahra May Jaltay
Pairr Daikhay Han??

Sabhee Ko Chhaon Daitay Han
Magar Inn Ko Silay May
Dhoop Milti Hy!!


Suno..!
Tum Nay Kabhee
Shaakho Say Bichhartay
Phool Daikhay Han..?

Wo Khushboo Baant Daitay Han
Bichhar Janay Talak Lekin
Hawa Ka Saath Daitay Han!!


Suno..!
Tum Nay Kabhee Mailay May
Bajtay Dholl Daikhay Han??

Ajab Hay Almia In Kaa
Bohot Hee Shorr Kartay Han!!
Magar Andar Say Khaali Hotay Han!!

Yehi Mera Fasanaa Hay!!
Yehi Meri Kahani Hay!!


More in Urdu Poetry
Keep reading: sad poetry at softsonnets.blogspot.com


Image: http://www.flickr.com/photos/jjjohn/2240602720/

Tuesday, March 5, 2013

Khulus e Dil Say Hen Aari Yhan Insaan Bohot

Khulus e Dil Say Hen Aari Yhan Insaan Bohot,
Yhan Ihsaan Kay Badlay Main Hen Nuqsaan Bohot!

Nafa Bohot Hae Yhan Jhoot Ko Nibhanay Main,
Keh Such Kay Rastay Main Hen Yhan Reh'zaan Bohot!

Junoon Kay Jaal Main Hon Yaa Anaa Kay Pardon Main,
Shaoor e Zeest  Main Lekin Rhay Nadaan Bohot!

Yhan Ihsaas Nahin Hay Wafa Kay Jazbon Ka,
Meri To Jaan Kay Dhar Per Hen Meherbaan Bohot!

Chalo Firaaq e Mohabbat Main Jee Kay Daikh Len Humm,
Wafa Jafa Main Ulajh Kar Rhay Na'Kaam Bohot!

Shaitaan Ko Kah Kay Bura Uskay Kaam Aatay Hen,
Magar Khudaa Pay Bhee Rakhtay Hen Wo Imaan Bohot!

Posted in sad poetry

Sunday, January 20, 2013

Aor Bhi Honge Hazaron Ehel e Dil!


Tuu Ney Pher Thukra Dia Tou Kia Howa!
Zakhm Pher Taaza Howa Tou Kia Howa!

Apney Milan Mei Ek Haan Ki Der Thi!
Tujh Sey Vo Bhi Na Howa Tou Kia Howa!

Eik Saada Dil Tumharey Ishk Mei!
Be - Waja Rusva Howa Tou Kia Howa!

Terey Jaane Se Howa Kuch Tou Nahin!
Dard Agar Ziada Howa Tou Kia Howa!

Jis Ko Chaha Hum Ney Saari Zindagi!
Vo Hamara Na Howa Tou Kia Howa!

Aor Bhi Honge Hazaron Ehel e Dil Ghayal!
Mai Agar Tanha Howa Tou Kia Howa!


More in Urdu Poetry


Friday, October 26, 2012

Hum Juda Kis Se Howe


Din Ko Masmaar Howe, Raat Ko Taamir Howe
Khwaab Hi Khwaab Faqat, Rooh Ki Jaagir Howe


Umr Bhar Likhtey Rahe, Phir Bhi Warq Saada Raha
Jaane Kia Lafz The, Jo Hum Se Na Tehreer Howe


Yeh Alag Dukh Hai Ke, Han Tere Dukhon Se Azad
Yeh Alag Qaid Hai Hum, Kiun Na Zanjeer Howe


Deeda o Dil Mei Tere, Aks Ki Tashkeel Se Hum
Dhool Se Phool Howe, Rang Se Tasvir Howe


Kuch Nahi Yaad Guzishta Shab Ki Mehfil Mei Faraz
Hum Juda Kis Se Howe, Kis Se Baghal Gir Howe


More in sad poetry sms

Saturday, August 18, 2012

Suna Hae Eid Bhi Ho Gi...!

Suna Hae Chaand Nikley Ga
Suna Hae Eid Bhi Ho Gi

Hamein To Aasmaan Pe
Dour Tak Kuch Bhi Nahi Dikhta

Kahan Wo Chaand Nikley Ga
Ke Jis Ke Waaste Hum Ne
Kabhi Palken Nahi Jhapkien
Wo Jis Ka Raasta Takte
Hae Guzri Zindagi Apni
Nahi Kuch Bhi Khabar Ke Wo
Nikle Ga To Kab Aakhir
Hamari Muntazir Aankhon Ko
Us Ki Deed Kab Ho Gi
Abhi Pucho Nahi Hum Se
Hamari Eid Kab Hogi....!

Posted in Eid Ghazals


Wednesday, June 13, 2012

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se - Ek Qaidi Abhi Zindaan Mei Hay!



Ek Yehi Roshni Imkaan Mei Hay
Tuu Abhi Tak Dil-e-Veeran Mei Hay

Shor Barpa Hay Teri Yaadon Ka
Ronaq-e-Hijar Bayabaan Mei Hay

Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hay
Koi Zinda Dil-e-Be-Jaan Mei Hay

Aaj Bhi Terey Badan Ki Khushbuu
Terey Bhejay Howay Guldaan Mei Hay

Zindagi Bhi Hay Meri Aankhon Mei
Mout Bhee Deeda-e-Hayraan Mei Hay

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se
Ek Qaidi Abhi Zindaan Mei Hay

Filed in Sad Poetry SMS

Saturday, December 31, 2011

Yaad Boht Tum Aaty Ho!


Jab Duur Ufaq Par Laali Ho,
Jab Shaam Udaasi Wali Ho,
Jab Zabt Ka Bandhan TooTa Ho,
Jab Aas Ka Daman Choota Ho,
Jab Darshan Pyaas Bujhata Ho,
Jab Mousam Geet Sunaty Hon,
Jab Kaan Hon Tarsy Baaton Ko,
Jab Aankhon Mei Rat-Jagey Hon,
Jab Apney Dard Satatey Hon,

Tab!

Yaad Boht Tum Aaty Ho...

Filed in Sad Poetry

Monday, December 19, 2011

Chalo Utho Ke Ab Andaaz e Zamaana He Badal Gaya Hai

Chalo Utho Ke Ab Andaaz e Zamaana He Badal Gaya Hai
Dhoonden Koi Or, Ke Ab Ye Aashyaana He Badal Gaya Hai

Na He Rahi Wo Tehzeeb, Na He Raha Wo Tamaddun
Na He Rahe Wo Kirdar, Ke Ye Fasaana He Badal Gaya Hai

Kisii Ko Bhi Nahin Parwaa Yahaan Kisi Ki
Apne Bhi Badal Gaye Or Baigana Bhi Badal Gaya Hai

Giley Shikwey Larai Jhagrey Hain Chaar Soo
Mohabbat Bi Badal Gai Hai, Mohabbat Ka Jatana Bi Badal Gaya Hai

Magarmachh Ke Aaansu Han Rawaan Har Aankh Mei
Aankhen Bhi Badal Gai Han, Aansu Bahana Bhi Badal Gaya Hai

Doulat He Say Hone Lagaa Hai Pyaar Yaahan
Dil Bhi Badal Gaye, Dil Ka Lagana Bhi Badal Gaya Hai

Matlab Ho To Han Kar Milte Han Logg
Chehre Bhi Badal Gaye Han, Muskurana Bhi Badal Gaya Hai


Filed in Bewafa Dost Poetry

Sunday, August 14, 2011

Ek Mohabbat Hy

Ek Mohabbat Hy Or
Us Ki Ek Nishaani Hy

Ek Dil Hy Jaisy
Haweli Koi Puraani Hy

Safar Raat Ka Hy Or
Raat Bhi Toofaani Hy

Samander Hi Samander Hy
Kashti Bhi Doob Jani Hy

Ibtada-e-Ishq Sey
Intaha-e-Ishq Tk

Mai Hi Tha BeWafa Or
Mujhe Hi Wafa Nibhani Hy

Mai Laut Aya Hun
Manzill Ko Dekh Kr

Udhar To Yaaro
Virani Hi Virani Hy

Ye Intazaar-e-Sehar
Khatam Kiu Nhi Hota

Kisi Sey Pucho Akhir
Maut Kb Aani Hy......


More Sad Poetry

Andaaz Tumharey Jesa Tha

Baarish Ki In Boondon Ne, Jab Dastak Di Darwazey Pr
YuuN Lagaa Tum Aye Ho, 'Andaaz Tumharey Jesa Tha'

Hawaa Ke Halkey Jhonkey Ne, Jab Aahat Ki Thi Khirki Pr
Mehsoos Hua Tum Chaltay Ho, 'Andaaz Tumharey Jesa Tha'

Mai Ne Jab In Boondon Ko, Tapkaya Apnay Haathon Pr
Ek Sard Sa Yuun Ehsas Hua, 'Wo Lams Tumharey Jesa Tha'

Mai Tanhaa Chala Jab Baarish Mei, Ek Jhonke Ne Mera Saath Dia
Mai Samjah Tum Ho Saath Mere, 'Ehsaas Tumharey Jesa Tha'

Phir Ruk Gai Wo Baarish Bhi, aur Rahi Na Baaki Aahat Bhi
Mai Samjha Tum Mujhe Chorr Gaye, 'Andaaz Tumharey Jesa Tha'


More Sad Ghazals