Monday, September 27, 2010

Ab Hijr Ki Koi Raat Nahi


Kb Yaad Mei Tera Saath Nahi,
Kb Haath Mei Tera Haath Nahi,
Sud Shukar K Apni Raaton Mei,
AB HIJR KI KOI RAAT NAHI.


Friday, September 24, 2010

Suna Tha Dost Wafa Karte Han - Bewafa Dost

Suna Thaa Dost Wafa Karte Han Ghayal,,,
Jub Hum ne Bharosa Kia To Rivayat Badal Gai..


Posted in: Bewafa Poetry

Matlabi Dunya Ko Bayan Karna - Bewafa Dost

Matlabi Dunya Ko Bayan Karna
In Jazbaat Ki Tauheen Hai...

Dil Par Ashk Hai Zaya Karna
K Ye to Dard Ka Shauqeen Hai...


More Bewafa Poetry

~~~ Phir Se Niklun Ga ~~~

             ~~~ Phir Se Niklun Ga ~~~
            ~~~Talash e Zindagi Mei~~~

              ~~~Dua He Is Bar Koi~~~
               ~~~Bewafa Na Miley~~~


More Verses and Poems about Traitor Friends

Gumaan Na Kar Muje Jurrat e Sawal Nhi

Gumaan Na Kar Muje Jurrat e Sawal
                 ..........Nahi..........

Faqat Darr Itna Hai Tuje Lajawab Na
                 ........Karduun........


More Bewafa Poetry

Hum Sa Ahl_E_Dil...

Hum Saa Ahl_E_Dil Tujhe Kahan Mile Ga
                       "..._Ghalib_..."

Jo Terey Sitam Bhi Sahay Or Tujhay Dua Bhi Dey


More Sad Verses

Faasley To Barha Rahay Ho Magar...

Faasley To Barha Rahay Ho Magar Itna Zehen Mei Rakhna
                              "S A N A M"

Mohabbat Baar Baar Insaan Par Meherbaan Nhi Hua Karti...


More Sad Poetry

Insaan Ki Parakh Me Hai Bhool Ka Andesha!!!

Insaan Ki Parakh Mein Hai Bhool Ka Andaisha
Apnon Ko Ujlat Mein Apna Na Kahaa Jaaey

Daiti Hai Qateel Aksar Chahroon Ki Chamak Dhokaa
Har Kaanch Ke Tukrey Ko Heera Na Kaha Jaaey


Click Here For More Poetry About Traitor Friends

Jo Dil Me Baat Hoti Hai

Jo Dil Me Baat Hoti Hai w0hi Ankhen Batati Han...
Koi Bi Baat Ho Dil Me Chupa Kr Kuch Nhi Milta...

More: Poetry SMS

Wahan Tak Na Le Jaey Teri Anaa Tujh Ko

Wahan Tak Na Le Jaey Tujh Ko Teri Anaa 'GhayaL'
Jahan Ja Kar Muqaddar K Sitaray Toot Jatay Han...


More Poetry SMS

Likh Dena Ye Misra

Likh Dena Ye Misra Merey Sang_e_Lehad Pr...
K Mout Achi Hy Magar Dil Ka Lagana Nhi Acha...


More Sad Poetry

Monday, September 20, 2010

Ajeeb Udassi Hai

Ajeeb udaasi hai meray sheher ki khamoshiyon mei,
Lagtaa hai k kisi masoom ka dil totoa hai,
Di khabar hawaon ne mjhko sahib,
Mhbton ko aj bewafaon ne luta hai.


Sunday, September 12, 2010

Dar Badar Ki Saza Sey Dartey Hein

Dar badar ki saza sey dartey hein,
Khushk pattay hein hawa sey dartey hein.

Aandhion se kabhi mohabbat thi hamen,
Ab to Baad-e-Saba sey dartey hein.

Nafraton ne wo Lazzaten bakhsheen,
Chahaton ki zia sey dartey hein.

Apno k karam hein itney,
Zindagi ki dua sey dartey hein.


Wednesday, September 8, 2010

Tum Maangtey Phiro Gey Apnaa Ghuroor Hum Sey...

Kab tuk raho gay aakhir youn duur duur hum sey?
Milna paray ga tum ko ik din zaroor hum sey..
Daa'man bachanay walay ye bay'rukhi hai kesi?
Keh do agr hua hai koi qasoor hum sey..
Hum cheen lain gay tum say ye shan e bay'niazi,
Tum maangtey phiro gey apnaa ghuroor hum sey...


Sunday, September 5, 2010

"HAM PAGAL SE HO JATEY HAIN"

"HAM PAGAL SE HO JATEY HAIN"

Jb dukh ki jahnjer bajti hai,
Jb yad ki nagan dasti hai,
Jb shokh hawa k chalne se,
Ek aag c man mai lagti hai,
Jb taarey hm pr hanstey hain,
Jb khusbo batain krti hai,
Jb din ki jan nikalti he,
Ek sham diyoon mai dhalti hai,
TAB aese mai tab aese mai,
Hm bekal se ho jate hain,
HAM pagal se ho jate hain,
KUCH LOG BOHT YAD AATY HAIN..
Kuch log boht yad aaty hain...!!



Tere Ikhlas Se Muhabbat Ki Hai

Tere ikhlas se muhbt ki hai,
Tere ehsas se muhbt ki hai,

Tu mere pas nhi hai phir bhi,
Teri yad se muhbt ki hai,

Kabi to tu ne b mje yad kya hoga,
Me ne un lamhat se mhbt ki hai,

Jin mai hun teri meri batain,
Main ne un auqat se mhbt ki hai,

Or mehky hon sirf teri mhbt se,
Main ne un jazbat se mhbt ki hai,

Tjh se milna to ab khawab sa lagta hai,
Main ne tere intezar se mhbt ki hai...




Thursday, September 2, 2010

Wo Log He Qadmoon Se Zamin Cheen Rahy Han

Wo log he qadmoon se zamin cheen rahy han
JO log mrey qadd ke baraber nahi aaty

Ek 'Tum' ke tmhary lye mai' bi mri jaan bi
Ek mai' k mjhe tum bi muyassir nahi aaty

Jis shan se lauty han ganwaa kar dil o jaan hum
Is taur to haarey huwe laskhar bi nahi aaty

Koi to khabar ley mrey dushman e jaan ki
Kuch din se mrey sehen mei pathar nahi aaty

Dil bi koi aaseb ki nagri hy k 'MOHSIN'
Jo is se nikal jatey han murr kr nahi aaty...


Click here for more Sad Poetry

JANEY DEY


Apnii aankhon k samander mein uter janey dey
Tera mujrim hon muje doob k mar janey dey
A naye dost mein smjhon ga tuje bhi apna,
Pehlay maazi ka koi zakhm to bhar janey dey
Aag dunya ki lagai hoi bujh jaegi,
Koi ansoo meray daman pe bikhar janey dey,
Zakhm kitny teri chahat se miley hen mjh ko,
SoOchta hoon k kah00n tjh se mgar
"JANEY DEY"

Räät k P¡Chley Pehar Se!!

Räät k P¡Chley Pehar Se!!
Ko¡ jane kab Se Jååg raha ha¡..
Ankhe¡n band ha¡ or Hath ha¡ Uper!!
Tu k¡Ya jane Tujhay ko¡ Raß Se Mang raha ha


Behter Hy Isey Ghar k Kisi Taaq Mai Rakh Do

Behter hy isey ghr k kisi taaq mai rakh do,
Toota hua dil le k kahan janey lagy ho,
Baahen to wo hayel han kisi or galey mai,
Tm churiyan jin k lye banwany chaly ho...


Aye Chand Suno Kuch Baat Karo

Aye Chand Suno Kuch Baat Karo,
Tri baat chaley mri raat katey,
Baat kro us basti ki,
Badal barish or masti ki,
Ya baat kro us bandhan ki,
Payal choori or kangn ki,
Ya baat karo un sapno ki,
Jinhey tum bhi socha karte ho,
Khuwabon me poja karte ho,
Ya hawa me urtey aanchal ki,
Jo jab lehraey kch yad dilaeye,
Tera chain churaeye teri neend uraeye,
Tum mjh se kaho kch baat karo,
Teri baat chaley meri raat katey.


Neend Aati Hai Mager...

Neend aati hai mager khuwab ab nahi aate,
Mujh se milne mere ahbaab nahi aate,
Ya un ki mohabat boht nayaab hai logo,
Ya mujh ko mohabat k aadaab nahi aate.


Kal Rat Bazm Mei Jo Mila Gul Badan Saa Thaa


Kal Rat Bazm Mei jo Mila Gul Badan Saa Thaa
Khushbu Sey Us ke Lafz Thy Chehraa Chaman Saa Thaa

Deikha Ussey To Bool Pary Us Ke Khad o Khal
Pucha Ussey To Chup Saa Raha, Kum Sukhan Saa Thaa

Tanhaiyon Kii Rutt Mei Bhi Lagtaa Thaa Mutma'in
W0h Shakhs Apnii Zaat Mei Ek Anjuman Saa Thaa

Soocha Ussey To Maen Kayee Rangoon mei Kho Gayaa
Alam Tamam Us Ke Haseen Pairhan Saa Thaa

Jo Shakh Shakh Thee wo Usi Ke Laboon Se Thii
Jo Phuul Khill Gaya Thaa Wo Usi Ke DeheN Saa Thaa

Wo Saadgi Pehen Ke Bhii Dil Mei Utar Gaya
Us Kii Har Ik Adaa Mei Ajab Bholpan Saa Thaa

Asaan Samaj Rahey The Ussey Sheher e Jaan Ke Loog
Mushkil Thaa Is Qadar Ke Mre Apney Fun Saa Thaa

Wo guftgoo thii us kii usi ke liye hii thii!
Kehney ko yun tu maen bhii shariik e sukhn saa thaa

Tarey thy chandni meiN Ke tohmat ke daagh thy
Mohsin kal aasmaan bhii merey kafaN saa thaa...

Mohsin Naqvi, a great urdu poet, endowed a very nice collection of sad and serious poetry to the readers. Read the last verse, how beautiful!!!



Click here for more Sad Poetry

Wednesday, September 1, 2010

Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi

Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi
Ye Tri Tarha Mujh se To Sharrma Na Sake Gi


Maen Baat Karun ga To Ye Khaamosh Rahe Gi
Seeney Se Lagaa Longa To Ye Kchh Na Kahe Gi
Uljhii Hui Ratoon Ko Ye Suljhaa Na Sake Gi


Ye Aankhen Han Thehri Hoi Chanchal Wo Nigaahen
Ye Haath Han Sehmey Hoe Aur Mast Wo Baahen
Parchaai To Insan Ke Kaam Aa Na Sake Gi


In Hontoon Ko GhayaL Maen Kchh De Na Sakun ga
Is Zulf Ko Maen Hath Mei Bi Ley Na Sakun Ga
Aaram Wo Kiya De gi Jo Tarrpa Na Sake Gi


Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi


Click here for more Sad Poetry