Wednesday, December 25, 2013

Is Se Pehley Ke Shaam Ho Jaye!!!

Is se pehley ke dasht e imkaan mei
Wasl e janaan ki arzoo na rahe

Is se pehley ke baar e gham se kahin
Tujh ko pane ki justuju na rahe

Is se pehley ke loh e qismat per
Baab e ulfat tamaam ho jaye

Laut aao ke muntazer hai koi
Is se pehley ke shaam ho jaye!!!



Monday, December 23, 2013

Bohat Si Digriyan Le Kar!!

Suno......! 
bohat c digriyan le kar..... 
hunar pe dastras le kar....... 
nisab-e-chahat- e-dil k chamakte lafz
aankon se ager parhne se kasir ho tou ....... 
jahil ho....



Friday, December 20, 2013

Thehri Thehri Si Tabiat Mei Rawaani Aai!

Thehri Thehri Si Tabiat Mei Rawaani Aai,
Aaj Phir Yaad Mohabbat Ki Kahani Aai!

Aaj Phir Neend Ko Aankhon Se Bichharte Dekha,
Aaj Phir Yaad Koi Chot Puraani Aai!

Muddaton Baad Chala Un Pe Hamara Jaadu,
Muddaton Baad Humain Baat Banani Aai!

Muddaton Baad Pashemaan Huwa Darya Hum Par,
Muddaton Baad Humain Pyaas Chupaani Aai!

Muddaton Baad Khuli Wusat e Sehra Hum Par,
Muddaton Baad Humain Khaak Uraani Aai!

Itni Asaani Se Milti Nahin Fun Ki Doulat,
Dhal Gai Umr To Ghazalon Pe Jawani Aai!


Thursday, December 19, 2013

Ye Qayaam Kesa Hai Raah Mei!

Chand Muntakhib Ashaar!!

Thaki, Tooti Huwi Neendon Ke Darmyaan Aksar,
Bohot Chupke Se Jaag Uth'ti Han Teri Yaadain!!


Ye Qayaam Kesa Hai Raah Mei,
Terey Zouq e Ishq Ko Kia Hua,
Abhi Chand Kaantey Chubey Nahin,
Terey Sub Iraade Badal Gaye!!


Oron Ka Tajurba Jo Kuch Ho, Magar Hum To Firaaq,
Talkhi e Zeest Ko Jeene Ka Maza Kehtey Han!!


Itni Lambi Umar Bhi Na Maang Mere Lye Dost!!
Aesa Na Ho Ke Tum Bhi Chorr Do Or Mout Bhi Na Aye!!


Monday, December 16, 2013

Jab Khoon Baha Talab Karen, Bunyaad Kuch Tou Ho!

Marney Chaley to Sitwat e Qaatil Ka Khouf Kiya!
Itna Tou Ho Ke Baandhne Paaye Na Dast o Paa!
Maqtal Mei Kuch To Rang Jamey Jashn e Raqs Ka!
Khoon Par Daman e Jallad Kuch Tou Ho!
Jab Khoon Baha Talab Karen, Bunyaad Kuch Tou Ho!


Sunday, December 15, 2013

Is Dor e Bejunoon Ki Kahani Koi Likho!!

Is dor bejunoon ki kahani koi likho
Jismon ko baraf'khon ko pani koi likho

Koi kaho ke hath qalam kis tarha huey
Kiun ruk gai qalam ki rawani koi likho

Kiun ahl e shoq sar ba gireban hen dosto
Kiun khun ba dil he ahd e jawani koi likho

Kiun surma dar gulu he her ik taair e sukhan
Kiun gulistan qafas ka he sani koi likho

Han taza sanihon ka karey kon intazar
Han dil ki wardat purani koi likho

Read another poetry:
http://softsonnets.blogspot.com/2013/10/jesay-teri-dunya-se-mujhay-kabhi-jana.html





Thursday, December 12, 2013

Tujh Mei Or Mujh Mei

Tujh Mei Or Mujh Mei,
Farq Sirf Itna Hai Dost..!

Tera Kuch Kuch Hoon Main...
Or Mera Sub Kuch Hai Tu...!


Another good set of couplets: Mai Jis Jaga Hoon Kisi Daleel Se Hoon
at: http://softsonnets.blogspot.com/2013/12/mai-jis-jaga-hoon-kisi-daleel-se-hoon.html

Thursday, December 5, 2013

Dil Garifta He Sahi Bazm Saja Li Jae

Dil garifta he sahi bazm saja li jae
Yad e janan se koi sham khali na jae

Rafta rafta yehi zandan me badal jatey hen
Ab kisi sheher ki buniyad na dali jae

Mashaf e rukh he kisi ka biyaz e hafiz
Aese chehrey se kabhi faal nikali jae

Wo murawwat se mila he to jhuka dun garden
Merey dushman ka koi waar na khali jae

Be nawa sheher ka saya he merey dil pe faraz
Kis tarha se meri aashufta khayali jae


Wednesday, December 4, 2013

Mai Jis Jaga Hoon, Kisi Daleel Se Hoon!

Mai Inquilab Pasando Ki Ek Qabeel Se Hoon!
Jo Haqq Pe Datt Gya, Us Lashkar e Qaleel Se Hoon!

Mai Yoon Hi Dast o Garebaan Nahin Zamane Se!
Mai Jis Jaga Hoon, Kisi Daleel Se Hoon!