Saturday, November 30, 2013

Kab Badalti Hain Zamaney Ki Rivayaat!

Ab Tou Mumkin Hi Nahin Un Sey Mulaqaat!
Ab Tou Urooj Pe Ponchi Hai Us Ki Zaat!

Wohi Waadey Hain or Rasmoon Ki Zanjireen Baqi!
Kab Badalti Hain Zamaney Ki Rivayaat!


Wednesday, November 27, 2013

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!
Na Kisi Ki Yaad Aati Hai!!

Magar Ye Dusra Misraa,
Zara Saa Jhoot Lagta Hai!!


Sunday, November 24, 2013

Her Tamashai Faqt Sahil Se Manzar Dekhta

Her tamashai faqt sahil se manzar dekhta
Kon darya ko ulat ta kon gohar dekhta

Wo to dunya ko meri diwangi khush agai
Tere hathon me wagarna pehla patthar dekhta

Aankh me aansu jurey they per sada tujh ko na di
Is tawaqu per ke shayed to plat kar dekhta

Meri qismat ki lakeeren mere hathon me na thin
Tere mathey per koi mera muqaddar dekhta

Zindagi pheli hui thi sham e hijran ki tarha
Kis ko itna hosla tha kon ji kar dekhta

Doobne wala tha or sahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta

Tu bhi dil ko ak lahu ki boond samjha he Faraz
Aankh agar hoti to qatrey me samandar dekhta



Wednesday, November 20, 2013

Mat Socho!

Aur us ne
Mere saghar me
Mae surkh undeli  to kaha
                    mat socho!

Tum yahan aye ho
Is mulk ke
Is sheher ke
Is hajla e taskeen me jahan
Sab ke sab raqsan kunan
Naghma e balb
Mast ada
mat socho!
Jagti rat
Ke chehre pe he khushbu ki rida
                     mat socho!


Tum bhi kia log ho
Perdais bhi aatey ho
To le aatey ho
Beemar shab o roz o dil e figar
Azizan e watan ki yaden

Apni zholida o bosida qamizon ki tarha
Jin ke dhabbon ko
Khud kar machinen bhi nahin dho saktin

Ye jo zangar hen ghurbat ke
Khud azar jo tarikiyan zehnon ki hen
Aalaishen jismon ki hen
Is tarha sanbhale huey phirtey ho
Ke jese ye tmhare dil o jaan hon
Is ghari tum ho jahan
Mumlikat khawab nahin
Yaan kisi soch ka gurdab nahin
Zindagi mae ki tarha
Shokh he tarrar he zehrab nahin

Apne kashkol ko dehleez per rakh ao
ke dre waza gari
Is jaga shamil e adaab nahin
Mat socho!

Tuesday, November 19, 2013

Aa Mere Yar e Qadah Raiz!!

Chand nikla he meri aankh
Mere dil me utare he tujhe
Aa mere yar e qadah raiz
Mera jaam pukare he tujhe


Yunhi tanhai me betha tha
Sar e sham bhulae huey sari dunya
Yunhi ik yad si jag uthi
To lagne lagi pyari dunya


Main to jesa bhi hun khush waqt hun
Kesi he tumhari dunya
Tum ne jis daoun jeeta he
Isi bazi me hari dunya

Aa mere yar e qadah raiz
Mera hath he khali kab se
Mera dil he choor zakhmon se
Meri aankh sawali kab se

Pesh e manzar me ab ajao
Ke hen asnaam khyali kab se
Muntazir haal me bethey huey logon ki tarha
Yun hi bajatey rahen taali kab se

Aa mere yar e qadah raiz
Mera nam he gali kab se!!

More sad urdu poetry


Saturday, November 16, 2013

Tankhwah Le Ke Bhi Khali Haath Rahey!!

Tankhwah Le Ke Bhi Khali Haath Rahey!!
Faqat Paise Ki Aani Jani Dekhi

Ye Nokri Ki Zindagani Bhi Ajab Thehri
Na Bacho Ka Bachpan Dekha, Na Biwi Ki Jawani Dekhi!!