Sunday, January 19, 2014

Nazar Se Door Ho Kar Bhi Tera Youn Robaroo Rahna

Thaki Tooti Hui Neendon Ke Darmiyaan Aksar,
Bohot Chupke Se Jaag Uth'ti Hain Teri Yaadain!

---------------------------------------------------------

Mila To Aur Bhi Taqseem Kar Gaya Mujh Ko,
Sametna Theen Jisey Meri Kirchiyaan Mohsin!

---------------------------------------------------------

Nazar Se Door Ho Kar Bhi Tera Youn Robaroo Rahna
Kisi Ke Pass Rahnay Ka Saliqa Ho To Aisa Ho!!

---------------------------------------------------------

Kitna Kuch Jaanta Ho Ga Wo Shakhs Merey Baare Mai
Jis Ne Mujhay Haste Howe Dekha Phir Bhi Pucha Udas Kiu Ho!

---------------------------------------------------------

Saturday, January 18, 2014

Zarey Sarkash Huey, Kehne Me Hawaen Bhi Nahin!!

zarey sarkash huey, kehne me hawaen bhi nahin
aasmanon pe kahin tang na ho jae zameen

aa ke dewaar pe bethi thin ke phir ur na sakin
titlian banjh manazir me nazar band huin

pair ki sanson me chirya ka badan khinchta gya
nabaz rukti gai,shakhon ki ragen khulti gaen

toot kar apni uranon se parinde aye
saanp ki aankhen darakhton pe bhi ab ugne lagin

shakh dar shakh ulajhti hen ragen peron ki
saanp se dosti, jangal me na bhatkae kahin

god le li he chatanon ne samandar se nami
jhote phoolon ke darakhton pe bhi khushbuen tikin


Saturday, January 11, 2014

Muskurate Huey Rukhsat Karna!

dil pe ak turfa qayamat karna
muskurate huey rukhsat karna
achi aankhen jo mili hen us ko
kuch to lazim hua wehshat karna
jurm kis ka tha, saza kis ko mili
kia gai bat pe hujjat karna
kon chahe ga tumhe meri tarha
ab kisi se na mohabbat karna
gahr ka darwaza khula rakha he
waqt mil jae to zehmat karna!


Tuesday, January 7, 2014

Wo Raabata Nahin, Wo Mohabbat Nahin Rahi!

Wo Raabata Nahin, Wo Mohabbat Nahin Rahi!
Uss Bewafaa Ko Hum Sey Kuch Ulfat Nahin Rahi!

Dekha Tou Misal e Ashk Nazar Sey Gira Diya!
Ab Meri, Uss Ki Aankh Mei Izzat Nahin Rahi!



Saturday, January 4, 2014

Dil Pe Aik Tarfa Qayamat Karna!!

dil pe ak turfa qayamat karna
muskurate huey rukhsat karna

achi aankhen jo mili hen us ko
kuch to lazim hua wehshat karna

jurm kis ka tha, saza kis ko mili
kia gai bat pe hujjat karna

kon chahe ga tumhe meri tarha
ab kisi se na mohabbat karna

gahr ka darwaza khula rakha he
waqt mil jae to zehmat karna!