Monday, December 31, 2012

December Ki Aakhri Shab!

December Ki Ye Aakhri Shab!
Meray Doston Ke Naam!

Meri Subb Duuaen!
Meray Doston Ke Naam!

Kuch Ko Mai Ne Manaya!
Kuch Ne Mujhe Manaya!

Hum Ne Diye Ilzaam!
Ik Doosray Ke Naam!

Kuch Waaday Kiye Poore!
Kuch Reh Gaye Adhoore!

Nibhayenge Her Rishta!
Ahed e Wafa Ke Naam!

Chalti Rahey Ye Dosti!
Ta'Dum e Ikhtetaam!

Mera Hay Ye Peghaam!
Meray Doston Ke Naam!

Bheja Hay Ye Peghaam!
Apne Doston Ke Naam!

December Ki Aakhri Shab!
Meray Doston Ke Naam!!


More in Urdu Poetry

Sunday, December 30, 2012

Abhi Kuch Lamhey Baki Hain!


Abhi Kuch Lamhey Baki Hain
Saal Ke Khatm Hone Mei...

Chalo Aesa Kren Hum Tum
Giley Shikwey Jo Rehte Hain...

Humesha Darmiyaan Apney
Kiyun Na Khatm Kr Dalen...

Naye Waade, Nayi Kasmen
Nayi Ummeed Hum Bandhen...

Naye Andaaz Se Jeewan
Ka Ik Ik Rukh Badal Dalen...

Dilon Mei Hain Kadorat Jo
Humm Us Ko Khatm Kr Dalen..

Abhi Kuch Waqt Baki Hai
Naya Phir SAAL Aane Mei


Advance Happy New Year 2013!

Sunday, December 23, 2012

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!


Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Tanha Saavan Bitaa Raha Hoon
Mai Saarey Armaan Jala Chuka Hoon
Jo Sholay Bharkey The Khwahisho Ke
Vo Aansu'on Sey Bujha Chuka Hoon!

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Chaak Daman Ko Si Raha Hoon
Bari Hi Mushkil Se Ji Raha Hoon
Diya Jo Nafrat Ka Zeher Us Ne
Samajh Ke Amrit Vo Pee Raha Hoon!

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Baghaer Us Ke Udaas Hoon Mai
Badalti Rutt Ka Qayyas Hoon Mai
Bujha Dey Apni Mohabbaton Sey
Sulagti Sadii'on Ki Pyaas Hoon Mai

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Tanha Saavan Bitaa Raha Hoon!


More in sad urdu poetry

Saturday, December 22, 2012

Yaar Ke Ajaane Ko Yakayak Umr Dubaraa Janey Hay


Pata Pata, Boota Boota, Haal Hamara Janey Hay
Janey Na Janey, Gul Hi Na Janey, Bagh To Sara Janey Hay

Aashiq Sa To Saada Koi Or Na Ho Ga Duniya Mei
Jee Ke Zian Ko Ishq Mei Uskey Apna Waara Janey Hay

Chara Gari Bemari-e-Dil Ki Rasm e Shehr e Hussn Nahi
Warna Dilber e Nadaan Bhi Iss Dard Ka Chaara Janey Hay

Meher-o-Wafa-o-Lutf-o-Inaayat, Eik Se Waqif In Mei Nahi
Or To Sab Kuch Tanz-o-Kinaya, Rams-o-Ishaara Janey Hay

Aashiq To Murda Hay Hamesha Uth'ta Hay Dekhe Se Usey
Yaar Ke Ajaane Ko Yakaayak, Umr Dubaraa Janey Hay

Tashna-e-Khoon Hay Apna Kitna, Mir Bhi Nadaan Talkhi Kash
Damdaar Aab-e-Tegh Ko Uskey, Aabe-e-Gawara Janey Hay


More in urdu ghazals

Sunday, December 16, 2012

Thursday, December 13, 2012

Parhney Waalon Ka Qehet Hay Warna!


Parhney Waalon Ka Qehet Hay Warna!
Girtey Aansoo Bhi Kitaab Hotey Han!

More in sad poetry sms

Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hai Aaj


Fasal e Khiraad Hay Rang e Chaman Dekhtey Chalo
Phir Ehtamaam e Daar o Rasan Dekhtey Chalo...


Dilchasp Waqia Hay Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarron Ka Jal Rha Hay Badan Dekhtey Chalo...


Tanqeed Mat Karo Keh Zamana Kharaab Hay
Chup Chaap Doston Ka Chalan Dekhtey Chalo...


Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hay Aaj
Shaffaf Chandni Ka Kafan Dekhtey Chalo...


More in Urdu Ghazals

Tuesday, December 4, 2012

Mousam Badal Raha Hai...!


Mousam Badal Raha Hy
Apna Khayal Rakhna
Kiun Ke
Badaltey Mousam
Aur
Badaltey Logg
Dono
Boht Takleef Dete Han!

Enjoy December!

More in sad poetry sms

Monday, December 3, 2012

AGAR EITBAR HOTA!


Ye Na Thi Hamari Kismat
Ke
Visaal e Yar Hota!

Agar Or Jeetey Rehtey
Yehi Intezar Hota!



Terey Vaadey Pe Jiye Hum
To Ye Jaan Jhooth Janaa!

Ke Khushi Sey Mar Na Jatey
AGAR EITBAR HOTA!


More in Ghalib Poetry

Sunday, December 2, 2012

Hamari Istaqaamat Se


Hamari Istaqaamat Se To
Dunyia Waqif Hai...

Na Hum Ne Manzilen Badlin,
Na Hum Ne Yaar Badle Han...

More in urdu poetry

Jo Pukarta Tha Har Gharri


Jo Pukarta Tha Har Gharri
Jo Jurra Tha Mujse Larri Larri

Koi Aisa Shakhs Agar Kabhi
Mujhe Bhool Jae To Kia Kron

Posted in poetry sms

Jis Ka Zikr Na Tha


Vo Baat Sarey Fasaney Mei Jis Ka Zikr Na Tha
Vo Baat Unko Boht Na Gawar Guzri Hai...

More in urdu poetry sms

Har Taraf Hai Ronak


Har Taraf Hai Ronak,
Bus Ek Teri Hi Hai Kami...

Sard Mosam,
Gehre Badal,
Or December Ki
Ye Pehli Raat...


More in sad poetry

Friday, November 16, 2012

Monday, October 29, 2012

Dhalti Eid Ke Saath


Dhalti Eid Ke Sath Hee Khataen Maaf Kar Dena
Kia Pata Jab Phir Eid Aaye To Hum Na Hon...!

Alvida Eid

Filed in Eid Poetry

Friday, October 26, 2012

Hum Juda Kis Se Howe


Din Ko Masmaar Howe, Raat Ko Taamir Howe
Khwaab Hi Khwaab Faqat, Rooh Ki Jaagir Howe


Umr Bhar Likhtey Rahe, Phir Bhi Warq Saada Raha
Jaane Kia Lafz The, Jo Hum Se Na Tehreer Howe


Yeh Alag Dukh Hai Ke, Han Tere Dukhon Se Azad
Yeh Alag Qaid Hai Hum, Kiun Na Zanjeer Howe


Deeda o Dil Mei Tere, Aks Ki Tashkeel Se Hum
Dhool Se Phool Howe, Rang Se Tasvir Howe


Kuch Nahi Yaad Guzishta Shab Ki Mehfil Mei Faraz
Hum Juda Kis Se Howe, Kis Se Baghal Gir Howe


More in sad poetry sms

Saturday, October 20, 2012

Jo Dost Nazar Aatey Han!


Wo Tark e Talluq Ka Ishara Bhi Nahin Kartey
Par Baat Bhi Hum Se Karna Gawara Nahin Kartey

Hum Jin Ko Basa Letey Han Ik Bar Nazar Mei
Phir Un Ko Kabhi Dil Se Utara Nahin Kartey

Apney Liye Bus Ik Yarana Hi Bohot Hai
Hum Koi Bhi Ghalti Dubara Nahin Kartey

Jo Dost Nazar Aate Han, Baatin Me Han Dushman
Hum Jaante Han Phir Bhi Kinara Nahin Kartey

Jab Tak Wo Salamat Han, Adawat Ka Maza Hai
Dushman Ko Kabhee Jan Sey Maara Nahin Kartey...


Posted in poetry sms

Aankhon Me Neend Hy!


Raat Chup Hai Magar Khamosh Nahin
Kese Kahun K Aaj Phir Hosh Nahin

Aese Doobe Han Kisi Ki Yaad Ki
Gehraai
Mei

Aankhon Me Neend Hy Magar Sone Ka
Hosh Nahin

Good Night!

Posted in sad poetry

Thursday, October 18, 2012

Sunday, October 14, 2012

Friday, October 12, 2012

Saturday, September 22, 2012

Saturday, September 15, 2012

Thursday, September 13, 2012

Saturday, September 8, 2012

Nahi Hai Dosti Jiss Sey!

Mujhe Mehsoos Hota Hai
Lutf E Zindagi Kum Hai

Gham E Dil Hadd Sey Barh Kr Han
Muyassar Ab Khushi Kum Hai

Musalsall Dil Ki BeChaini Ko
Kiya Kehtey Han Dil Waley

Tumhen Maloom Ho Shayd
Mujhe To Aagahi Kum Hai

Ab Iss Ke Baad Jism o Jaan Ko Bhi
Jalaney Se Kiya Haasil

Charaghon Me Lahu Jalta Hai
Phir Bhi Roshni Kum Hai

Jisey Bhi Dost Samjha!
Dushman e Jaan Wo Thehra!

Nahi Hai Dosti Jiss Sey
Usi Sey Dushmani Kum Hai!


Filed in sad poetry sms

Saturday, September 1, 2012

Saturday, August 18, 2012

Suna Hae Eid Bhi Ho Gi...!

Suna Hae Chaand Nikley Ga
Suna Hae Eid Bhi Ho Gi

Hamein To Aasmaan Pe
Dour Tak Kuch Bhi Nahi Dikhta

Kahan Wo Chaand Nikley Ga
Ke Jis Ke Waaste Hum Ne
Kabhi Palken Nahi Jhapkien
Wo Jis Ka Raasta Takte
Hae Guzri Zindagi Apni
Nahi Kuch Bhi Khabar Ke Wo
Nikle Ga To Kab Aakhir
Hamari Muntazir Aankhon Ko
Us Ki Deed Kab Ho Gi
Abhi Pucho Nahi Hum Se
Hamari Eid Kab Hogi....!

Posted in Eid Ghazals


Sunday, July 29, 2012

Taak Me Dushman Bhi Thay

Taak Me Dushman Bhee Thay
Pusht Pr Ahbab Bhi...!

Pehla Teer Kis Ney Mara
Ye Kahani Phir Kabhi...!


Posted in Sad Poetry SMS

Nibhaney Ka Irada Ho!


Nibhaney Ka Irada Ho
To Waada Kar Liya Jaey

Chalo Mil Kar Gham e Hasti Ko
Aadha Kar Liya Jaey

Andheri Shab Ka Khatra Ho
To Aisa Kar Liya Jaey

Kisi Jugnoo Ki Baanhon Ko
Sahara Kar Liya Jaey

Yahan Kaante Bhi Ugtey Han
Yahan Kaliyan Bhi Khilti Han

Inhi Ke Darmiyan Reh Kar
Guzara Kar Liya Jaey


Posted in Sad Poetry SMS

Ab Us Ke Dil Pe Meri Hukumat Nahi Rahi


Ab Us Ke Dil Pe Meri Hukumat Nahi Rahi!
Ab Dastaras Se Ye Bhi Ilaqa Nikal Gaya!

Posted in Sad Poetry

Teri Chahat Wo Karbala Hai Jahan!


Teri Chahat Wo Karbala Hai Jahan!
Har Tamanna Shaheed Hoti Hai!

Posted in Sad Poetry SMS

Sunday, June 17, 2012

Us Ke Aane Ki Khabar Sunte Hi!


Us Ke Aane Ki Khabar Sunte Hi Tayyari Ki
Maine Jee Bhar Ke Gulaabon Ki Kharidari Ki

Halat e Hijr Me Filhaal Sukoon Milney Laga
Nasha e Dard Ne Awaz Nahi Bhaari Ki

Warna Ye Logg Mujhe Tum Se Juda Kr Dete
Maine Daanista Mohabbat Me Adakari Ki

Ishq Me Mera Bhi Deewangi Maslak Hai
Maine Iss Waaste Majnu Ki Tarafdari Ki

Phool Khiltey Hi Koi Bichhra Hua Yaad Aya
Maine Khoshi Ke Mousam Me Ashkbari Ki


Filed in Sad Poetry SMS



Friday, June 15, 2012

Wednesday, June 13, 2012

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se - Ek Qaidi Abhi Zindaan Mei Hay!



Ek Yehi Roshni Imkaan Mei Hay
Tuu Abhi Tak Dil-e-Veeran Mei Hay

Shor Barpa Hay Teri Yaadon Ka
Ronaq-e-Hijar Bayabaan Mei Hay

Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hay
Koi Zinda Dil-e-Be-Jaan Mei Hay

Aaj Bhi Terey Badan Ki Khushbuu
Terey Bhejay Howay Guldaan Mei Hay

Zindagi Bhi Hay Meri Aankhon Mei
Mout Bhee Deeda-e-Hayraan Mei Hay

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se
Ek Qaidi Abhi Zindaan Mei Hay

Filed in Sad Poetry SMS

Saturday, May 26, 2012

Wafa Ke Lafz Pe Atko To Yaad Kar Lena

Sakoot e Qarb Me Utro To Yaad Kar Lena
Kabhi Jo Toot Ke Bikhro To Yaad Kar Lena

Khushi Ke Waqt Me Chahay Humen Bhula Dena
Ghamo Ki Raah Jo Dekho To Yaad Kar Lena

Gava Na Dena Kahin Umar Pashemani Mei
Khud Apne Aap Se Uljho To Yaad Kar Lena

Mana Tum Guftugoo Ke Maahir Ho...
Wafa Ke Lafz Pe Atko To Yaad Kar Lena...!


Posted in Sad Urdu Poetry

Saturday, May 5, 2012

Saturday, April 14, 2012

Mujhe Bhool Jaa!

Ye Dukhon Ki Lambi Musafatein!
 
Kabhi Nafratein,
Kabhi Chahatein,


Kahin Kar Na Dein Humein Phir Judaa!

Mujhe Bhool Jaa!
Mujhe Bhool Jaa!


Filed in Sad Poetry SMS

Sunday, April 1, 2012

Sunday, March 25, 2012

Saturday, February 25, 2012

Jahan Charagh Bujha Dil Jala Lia Mai Ne

Wafa Ko Sheesh Mehel Me Saja Lia Mai Ne
Wo Ek Dil Hai Jisay Pathar Bana Lia Mai Ne

Kamal Ye Hai Ke Dushman Pe Jo Chalana Tha
Wo Teer Apne Kaleje Pe Kha Lia Mai Ne

Kabhi Na Khatam Kia Mai Ne Roshni Ka Safar
Jahan Charagh Bujha Dil Jala Lia Mai Ne


Filed in Sad Poetry SMS

2 Aansoo, 2 Phool !

Meri Saans Tum Se Juri Hai, Kab Aoge?
Labon Pe Jaan Hai Or Kitna Tarpao Ge?

Mere Bin Chaen Nahi Mile Ga Tumhe
Mujhe Chorr Kar Tum Bhi Pachtao Ge

Jaata Waqt Nahi Thehrta Kisi Ke Lye
Aakhir Kab Tak Mujhe Aazmao Ge

2 Aansoo, 2 Phool Meri Qabar Pe Charha Dena
Shayad Itna Hi Tum Mere Lye Kar Pao Ge


Filed in Sad Poetry SMS

Wednesday, February 8, 2012

Dil Me Ek Dard Badastoor!


Dil Mei Ek Dard Badastoor Gawara Karna
Itna Aasan Nahin Yaadon Pe Guzara Karna

Jaan Deni Hay Tere Ishq Mei Hai Yaad Mujhe
Bhool Hi Jaon Agar Mai To Ishara Karna

Kaisey Kar Lenge Kahin Or Bata Pyar Hai Ye
Shughal Hota To Mumkin Tha Dobara Karna

Wuss'aten Or Na Raaton Ke Andhere Ki Barhen
Tum Sar e Sham Na Zulfon Ko Sanwara Karna

Aqal To Sochti Hai Tark e Wafa Ki Baaten
Dil Ye Kehta Hai Isse Tum Na Khudara Karna


Filed in Urdu Ghazals


Tum Bhi Ek Waar Karo!


Dil e Tabaah Ko
Zakhmo Ki Kuch
Kami To Nahin!

Magar Hai Aarzoo
Ke Tum Bhi Ek
Waar Karo!

Filed in Sad Poetry

Wednesday, January 4, 2012

Aaj Kal Kis Ko Satatey Ho

Mujh Se Bichhrey Ho To
Manzoor e Nazar Ho
Kis Ke..

Aaj Kal Kis Ko Satatey Ho?
Kahan Hotey Ho?

Filed in Poetry SMS