Friday, June 25, 2010

Ajab Ghari Thi

Ajab ghari the
Kitab keecher me gir pari the
Chamakte lafzon ki meli aankhon me ulajhte aanso mujhe bula rhay thay
Magar mujhe hosh he kahan tha
Nazar me ik or jahan tha
Naye naye manzaron ki khawahish me apne manzar se kat gya hun
Naye naye daeron ki gardish me apne mehwer se hat gya hun
Umeed, imkan, be yakeeni hzaron me bat gya hun
Is se pehle k rat apni kamand dalay
Ye chahta hun ke laut aun
Ajab nahe wo kitab ab bhe wahen pari ho
Ajab nahe ab bhe meri rah dekhti ho
Chamakte lafzon ki meli aankhon me ulajhte aanso
Hawa-o- hirs-o- haws ki gard saaf kar den
Ajab nahe mere lafz mujh ko maaf kar den
Ajab ghari the
Kitab keecher me gir pari the



Click here for more Sad Poetry

No comments :

Post a Comment