Friday, July 16, 2010

Ye to Khawab He Meri Aankh Ka

Ye to khawab he meri aankh ka jo haqiqaton me dhala nahin
Jo khayal me tha basa hua ,wohi chehra mujh ko mila nahin

Sar-e- shakh jitne gulab thay wo hawa ki shokhi se khil uthay
Main utar lun jisay jan me wohi guncha dil me khila nahin

Ye to mosamon ka mizaj he kabhe garm hekabhe sard he
Gham-e- jan ka he ye jo silsila subh-o- sham se ghata nahin

Suna, sheher bhar ka ye rog he khuli aankhen hont silay huay
Rahen barqarar sama'aten magar aese jese suna nahin

Rahi guftagu bari dair tak teri bazm-e- naz me ishq per
Hui bat jab bhe wafaon ki koi shama le ke utha nahin

Mujhe seema le ke chala koi jab suay falak to sada suni
Mata'-e- jan me he ghuroor sa tujhe kia mila pata nahin



More Sad Ghazals

No comments :

Post a Comment