Thursday, August 26, 2010

Baras Raha Hai Aber e Asmaan Merey Liye...

Baras raha ha aber e asmaan merey liye,
Sajadiya hai dard.e.do jahan merey liye...

Wo mustaqil mujhe chahne ka jurm kar na saka,
Kabhi kabhi to howa maherban merey liey...

Karey tufano mei b dubnai ni dayta,
Ajata hai koi darmiyan merey liye...

Mili hain bai shumar lazatain issi raah mai,
Safar ma horaha ha imtehan merey liye...

Tasaliyan to dai gaiey hain merey Dost mujhe,
Kahan se layen ge par meri jan merey liye...

Ye dil b khub ha is se hi hum kalam rahe,
Kare jo talgh se chahe bayan merey liye...

Issi liye to dhoop se hi dosti karli,
Na bun saka koi b saiban mare liye...

Nahi! Nahi! mujhe qasid yaqen nahi hota,
K horahe tha sanam pashaiman mere liye...

Meri qabar pe merey bad bus wafa likhna,
Yahi tha zindagi k unwan mere liye...

Main sub ko ek nigah se dekhta hon Faraz,
Hain ek faqeer-o-suleman mare lie...


No comments :

Post a Comment